KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye
KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
ḳhvāhish-e-parvāz hai to bāl-o-par bhī chāhiye
maiñ musāfir huuñ mujhe raḳht-e-safar bhī chāhiye
is qadar bhī rañj kā ḳhūgar nahīñ huuñ maiñ abhī
rāste meñ dhuup ho to ik shajar bhī chāhiye
yuuñ mukammal ho nahīñ saktā koī bhī aks ho
aa.ina bhī chāhiye zauq-e-nazar bhī chāhiye
sirf sāñsoñ kā tasalsul hī nahīñ hai zindagī
apne hone kī hameñ koī ḳhabar bhī chāhiye
dostoñ kī is adā par ho gayā qurbān maiñ
merī pagḌī le chuke ab merā sar bhī chāhiye
mutma.in sahrā meñ aa ke bhī nahīñ tanhā.iyāñ
shaam hote hī inheñ dīvār-o-dar bhī chāhiye
KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye
main musafir hun mujhe raKHt-e-safar bhi chahiye
is qadar bhi ranj ka KHugar nahin hun main abhi
raste mein dhup ho to ek shajar bhi chahiye
yun mukammal ho nahin sakta koi bhi aks ho
aaina bhi chahiye zauq-e-nazar bhi chahiye
sirf sanson ka tasalsul hi nahin hai zindagi
apne hone ki hamein koi KHabar bhi chahiye
doston ki is ada par ho gaya qurban main
meri pagDi le chuke ab mera sar bhi chahiye
mutmain sahra mein aa ke bhi nahin tanhaiyan
sham hote hi inhen diwar-o-dar bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.