KHwahish-e-qatl-e-am karne lage
ḳhvāhish-e-qatl-e-ām karne lage
apnā jiinā harām karne lage
manzileñ duur hī rahīñ un se
jo musāfir qayām karne lage
vo ye samjhe ki kuchh zarūrat hai
ham unheñ jab salām karne lage
in añdheroñ ke hausle dekho
raushnī zer-e-dām karne lage
ishq chhūTā to hosh meñ aa.e
ham bhī ab kām-dhām karne lage
hosh uḌne lage haiñ ḳhāroñ ke
phuul jab se kalām karne lage
zindagī kī salīb TuuT ga.ī
maut kā intizām karne lage
zindagī ke udaas dariyā meñ
kuchh samundar qayām karne lage
ye hai me.arāj-e-tishnagī 'shākir'
chaḌhte dariyā salām karne lage
KHwahish-e-qatl-e-am karne lage
apna jina haram karne lage
manzilen dur hi rahin un se
jo musafir qayam karne lage
wo ye samjhe ki kuchh zarurat hai
hum unhen jab salam karne lage
in andheron ke hausle dekho
raushni zer-e-dam karne lage
ishq chhuTa to hosh mein aae
hum bhi ab kaam-dham karne lage
hosh uDne lage hain KHaron ke
phul jab se kalam karne lage
zindagi ki salib TuT gai
maut ka intizam karne lage
zindagi ke udas dariya mein
kuchh samundar qayam karne lage
ye hai mearaj-e-tishnagi 'shakir'
chaDhte dariya salam karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.