KHwahish karke gham ko muKHatib kaun kare
ḳhvāhish karke ġham ko muḳhātib kaun kare
apnā safar sahrā kī jānib kaun kare
zard hue haiñ peḌ ke patte sāvan meñ
ab mausam kā bharosā sāhib kaun kare
ḳhuun se apne sham.eñ jalātā huuñ lekin
din ke jaisā raat kā qālib kaun kare
rutba denā shān-e-karīmī kā hai kaam
miTTī ke putle ko sāqib kaun kare
andhī nagrī ke qānūn nirāle haiñ
faisla mere jurm kā vājib kaun kare
zahar-e-ta.assub ḳhuun meñ sab ke shāmil hai
is mausam meñ baat munāsib kaun kare
merī ġhazal kī qīmat kyā hai duniyā meñ
lahū-lahū uñglī ko kātib kaun kare
sūraj peḌ samundar saa.e haqīqat haiñ
sub.h ko 'ātish' sub.h-e-kāzib kaun kare
KHwahish karke gham ko muKHatib kaun kare
apna safar sahra ki jaanib kaun kare
zard hue hain peD ke patte sawan mein
ab mausam ka bharosa sahib kaun kare
KHun se apne shamen jalata hun lekin
din ke jaisa raat ka qalib kaun kare
rutba dena shan-e-karimi ka hai kaam
miTTi ke putle ko saqib kaun kare
andhi nagri ke qanun nirale hain
faisla mere jurm ka wajib kaun kare
zahar-e-tassub KHun mein sab ke shamil hai
is mausam mein baat munasib kaun kare
meri ghazal ki qimat kya hai duniya mein
lahu-lahu ungli ko katib kaun kare
suraj peD samundar sae haqiqat hain
subh ko 'atish' subh-e-kazib kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.