KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai
ḳhvāhish meñ sukūñ kī vahī shorish-talbī hai
yaanī mujhe ḳhud merī talab DhūñD rahī hai
dil rakhte haiñ ā.īna-e-dil DhūñD rahe haiñ
ye us kī talab hai ki vahī ḳhud-talbī hai
tasvīr meñ āñkheñ haiñ ki āñkhoñ meñ hai tasvīr
ojhal ho nigāhoñ se to bas dil pe banī hai
din bhar to phire shahr meñ ham ḳhaak uḌāte
ab raat huī chāñd sitāroñ se Thanī hai
haiñ us kī tarah sard ye bijlī ke sutūñ bhī
raushan haiñ magar aag kahāñ dil meñ lagī hai
phir zehn kī galiyoñ meñ sadā gūñjī hai koī
phir soch rahe haiñ kahīñ āvāz sunī hai
phir ruuh ke kāġhaz pe khiñchī hai koī tasvīr
hai vahm ki ye shakl kahīñ dekhī huī hai
katrā.e to ham laakh rah-e-vahshat-e-dil se
kānoñ meñ salāsil kī sadā guuñj rahī hai
bāqar' mujhe fursat nahīñ shorīda-sarī kī
kāñdhoñ pe mire sar hai ki ik dard-sarī hai
KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai
yani mujhe KHud meri talab DhunD rahi hai
dil rakhte hain aaina-e-dil DhunD rahe hain
ye us ki talab hai ki wahi KHud-talbi hai
taswir mein aankhen hain ki aankhon mein hai taswir
ojhal ho nigahon se to bas dil pe bani hai
din bhar to phire shahr mein hum KHak uDate
ab raat hui chand sitaron se Thani hai
hain us ki tarah sard ye bijli ke sutun bhi
raushan hain magar aag kahan dil mein lagi hai
phir zehn ki galiyon mein sada gunji hai koi
phir soch rahe hain kahin aawaz suni hai
phir ruh ke kaghaz pe khinchi hai koi taswir
hai wahm ki ye shakl kahin dekhi hui hai
katrae to hum lakh rah-e-wahshat-e-dil se
kanon mein salasil ki sada gunj rahi hai
baqar' mujhe fursat nahin shorida-sari ki
kandhon pe mere sar hai ki ek dard-sari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.