KHwahish-o-KHwab ki numu mein hai
ḳhvāhish-o-ḳhvāb kī numū meñ hai
zindagī shauq-o-justujū meñ hai
der tak dhuup meñ khaḌe rahnā
ai shajar kyā tire lahū meñ hai
dekhte rah ga.e rafū-gar bhī
chaak jo jism-e-ābrū meñ hai
maiñ jo tasvīr le ke aayā huuñ
ghar kā ghar us kī aarzū meñ hai
raushnī kī naved laao kabhī
raushnī vo jo guftugū meñ hai
un laboñ ko ḳhabar nahīñ 'ahmad'
kis qadar tishnagī subū meñ hai
KHwahish-o-KHwab ki numu mein hai
zindagi shauq-o-justuju mein hai
der tak dhup mein khaDe rahna
ai shajar kya tere lahu mein hai
dekhte rah gae rafu-gar bhi
chaak jo jism-e-abru mein hai
main jo taswir le ke aaya hun
ghar ka ghar us ki aarzu mein hai
raushni ki nawed lao kabhi
raushni wo jo guftugu mein hai
un labon ko KHabar nahin 'ahmad'
kis qadar tishnagi subu mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.