KHwahishon ki aaD mein rutba jawani le gai
ḳhvāhishoñ kī aaḌ meñ rutba javānī le ga.ī
pattharoñ ke Dher se mazdūr raanī le ga.ī
ḳhvāb qissa chāhateñ duniyā siyānī le ga.ī
aur jo baaqī thā terī lan-tarānī le ga.ī
chāplūsī se mujhe bhī dushmanī mahñgī paḌī
kāmyābī ko uḌā kar haq-bayānī le ga.ī
kaun se farmān kā qissa sunāte ho huzūr
bādshah se aañkh merī hukmarānī le ga.ī
aap vāpas aa ga.e haiñ aap kā phir kyā gayā
merī ḳhuddārī ko lekin mehrbānī le ga.ī
chhoTī moTī hasratoñ ko vaqt le kar uḌ gayā
chain se marne kī ḳhvāhish zindagānī le ga.ī
KHwahishon ki aaD mein rutba jawani le gai
pattharon ke Dher se mazdur rani le gai
KHwab qissa chahaten duniya siyani le gai
aur jo baqi tha teri lan-tarani le gai
chaplusi se mujhe bhi dushmani mahngi paDi
kaamyabi ko uDa kar haq-bayani le gai
kaun se farman ka qissa sunate ho huzur
baadshah se aankh meri hukmarani le gai
aap wapas aa gae hain aap ka phir kya gaya
meri KHuddari ko lekin mehrbani le gai
chhoTi moTi hasraton ko waqt le kar uD gaya
chain se marne ki KHwahish zindagani le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.