KHwahishon ko KHwahishon ki be-karani kha gai
ḳhvāhishoñ ko ḳhvāhishoñ kī be-karānī khā ga.ī
zindagī ai zindagī terī ravānī khā ga.ī
ḳhuld se nikle yahāñ aa.e vahīñ jāveñge kyā
ham ko ai maulā hamārī be-makānī khā ga.ī
umr bhar lā-hāsilī kī dāstāñ kahte rahe
aur terī be-dhiyānī kul kahānī khā ga.ī
kah rahe haiñ par kahī bhī an-kahī ke misl hai
haa.e ehsāsāt ko ye be-zabānī khā ga.ī
KHwahishon ko KHwahishon ki be-karani kha gai
zindagi ai zindagi teri rawani kha gai
KHuld se nikle yahan aae wahin jawenge kya
hum ko ai maula hamari be-makani kha gai
umr bhar la-hasili ki dastan kahte rahe
aur teri be-dhiyani kul kahani kha gai
kah rahe hain par kahi bhi an-kahi ke misl hai
hae ehsasat ko ye be-zabani kha gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.