ki jab bhi zehn mein tera taghaful raqs karta hai
ki jab bhī zehn meñ terā taġhāful raqs kartā hai
hamāre goshe-goshe meñ tahammul raqs kartā hai
tumhāre ik tabassum se kabhī hotā hai aisā bhī
sabhī ke jism-o-jāñ meñ to tanāzul raqs kartā hai
ye tere aks ne kaisā divāna kar diyā mujh ko
ki har dam aañkh meñ terā taḳhayyul raqs kartā hai
hamāre dil kī dhaḌkan be-sabab kuchh baḌh sī jaatī hai
ki jab bhī yaar ke chehre pe kākul raqs kartā hai
ki jab bhi zehn mein tera taghaful raqs karta hai
hamare goshe-goshe mein tahammul raqs karta hai
tumhaare ek tabassum se kabhi hota hai aisa bhi
sabhi ke jism-o-jaan mein to tanazul raqs karta hai
ye tere aks ne kaisa diwana kar diya mujh ko
ki har dam aankh mein tera taKHayyul raqs karta hai
hamare dil ki dhaDkan be-sabab kuchh baDh si jati hai
ki jab bhi yar ke chehre pe kakul raqs karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.