ki jaise marham se zaKHm bharna ghalat nahin hai
ki jaise marham se zaḳhm bharnā ġhalat nahīñ hai
kisī ke dukh kā mudāvā karnā ġhalat nahīñ hai
ye log kahte haiñ ishq karnā baḌī ḳhatā hai
bilāl-habshī sā ishq karnā ġhalat nahīñ hai
kisī ke chehre pe muskurāhaT bikher denā
kisī ke dil meñ bhī yuuñ utarnā ġhalat nahīñ hai
pasand hai ḳhūb-sūratī bhī hamāre rab ko
so jaan merī tarah sañvarnā ġhalat nahīñ hai
tumhārā va.ada-ḳhilāf honā ġhalat nahīñ to
hamārā bātoñ se bhī mukarnā ġhalat nahīñ hai
yahāñ mohabbat ko aur nazroñ se dekhte haiñ
hamārā hāthoñ pe haath dharnā ġhalat nahīñ hai
maiñ jāntā huuñ ki 'shoḳh-jī' tum baḌe niDar ho
sitamgaroñ ke sitam se Darnā ġhalat nahīñ hai
ki jaise marham se zaKHm bharna ghalat nahin hai
kisi ke dukh ka mudawa karna ghalat nahin hai
ye log kahte hain ishq karna baDi KHata hai
bilal-habshi sa ishq karna ghalat nahin hai
kisi ke chehre pe muskurahaT bikher dena
kisi ke dil mein bhi yun utarna ghalat nahin hai
pasand hai KHub-surati bhi hamare rab ko
so jaan meri tarah sanwarna ghalat nahin hai
tumhaara wada-KHilaf hona ghalat nahin to
hamara baaton se bhi mukarna ghalat nahin hai
yahan mohabbat ko aur nazron se dekhte hain
hamara hathon pe hath dharna ghalat nahin hai
main jaanta hun ki 'shoKH-ji' tum baDe niDar ho
sitamgaron ke sitam se Darna ghalat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.