ki jin se lahja badal ke tu bolta hai wo log
ki jin se lahja badal ke tū boltā hai vo log
malāl us kā saheñge magar kaheñge nahīñ
ri.āyatoñ meñ likheñge hamesh naam tirā
ba-nām-e-jurm-e-vafā tohmateñ dhareñge nahīñ
hamārā vaqt to hañs kar guzarne vaalā thā
magar ye rañj to ab raah se haTeñge nahīñ
ai ishq tere mizājoñ kī ḳhair ho ab ke
diye haiñ zaḳhm jo tū ne kabhī bhareñge nahīñ
vo ek pal ki jise ham ne zindagī likkhā
ab aur us kī aziyyat meñ ham jiyeñge nahīñ
so phir ye dil hī hamārā hamāre kaam aayā
kuchh aise phuul khile jo kabhī khileñge nahīñ
ki jin se lahja badal ke tu bolta hai wo log
malal us ka sahenge magar kahenge nahin
riayaton mein likhenge hamesh nam tera
ba-nam-e-jurm-e-wafa tohmaten dharenge nahin
hamara waqt to hans kar guzarne wala tha
magar ye ranj to ab rah se haTenge nahin
ai ishq tere mizajon ki KHair ho ab ke
diye hain zaKHm jo tu ne kabhi bharenge nahin
wo ek pal ki jise hum ne zindagi likkha
ab aur us ki aziyyat mein hum jiyenge nahin
so phir ye dil hi hamara hamare kaam aaya
kuchh aise phul khile jo kabhi khilenge nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.