ki jis mein mohabbat zaruri nahin hai
ki jis meñ mohabbat zarūrī nahīñ hai
mujhe vo ibādat zarūrī nahīñ hai
maiñ be-intihā chāhtā huuñ usī ko
kare vo mohabbat zarūrī nahīñ hai
mujhe tū hī tū yaad aatā rahe bas
ziyāda ināyat zarūrī nahīñ hai
use dekh kar hī merā kaam chaltā
mujhe ab ibādat zarūrī nahīñ hai
mohabbat se hī jaan letā hai aksar
kisī se adāvat zarūrī nahīñ hai
samajhnā ḳhudī ko paḌegā sabhī kuchh
vo de kuchh hidāyat zarūrī nahīñ hai
mujhe har qadam par hai us kī zarūrat
ho us ko zarūrat zarūrī nahīñ hai
diloñ pe kare 'raaj vo shaah aisā
kahīñ ho riyāsat zarūrī nahīñ hai
ki jis mein mohabbat zaruri nahin hai
mujhe wo ibaadat zaruri nahin hai
main be-intiha chahta hun usi ko
kare wo mohabbat zaruri nahin hai
mujhe tu hi tu yaad aata rahe bas
ziyaada inayat zaruri nahin hai
use dekh kar hi mera kaam chalta
mujhe ab ibaadat zaruri nahin hai
mohabbat se hi jaan leta hai aksar
kisi se adawat zaruri nahin hai
samajhna KHudi ko paDega sabhi kuchh
wo de kuchh hidayat zaruri nahin hai
mujhe har qadam par hai us ki zarurat
ho us ko zarurat zaruri nahin hai
dilon pe kare 'raj wo shah aisa
kahin ho riyasat zaruri nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.