ki haq se farishton ne iqbaal ki ghammazi
kī haq se farishtoñ ne 'iqbāl' kī ġhammāzī
gustāḳh hai kartā hai fitrat kī hinā-bandī
ḳhākī hai magar is ke andāz haiñ aflākī
ruumī hai na shāmī hai kāshī na samarqandī
sikhlā.ī farishtoñ ko aadam kī taḌap us ne
aadam ko sikhātā hai ādāb-e-ḳhudāvandī
ki haq se farishton ne 'iqbaal' ki ghammazi
gustaKH hai karta hai fitrat ki hina-bandi
KHaki hai magar is ke andaz hain aflaki
rumi hai na shami hai kashi na samarqandi
sikhlai farishton ko aadam ki taDap us ne
aadam ko sikhata hai aadab-e-KHudawandi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.