ki KHub wafa humse li KHub KHabar tu ne
kī ḳhuub vafā ham se lī ḳhuub ḳhabar tū ne
din-rāt sitam Dhaa.e ai bāni-e-shar tū ne
kyā ham ne bigāḌā hai kyuuñ ham ko satātā hai
kyuuñ zulm par ai zālim bāñdhī hai kamar tū ne
ai maut ta.ajjub hai jo zīnat-e-gulshan hai
kaaTe vo shajar tū ne toḌe vo samar tū ne
allāh ke bandoñ par ai but ye sitam tere
rakkhā na qayāmat kā kuchh ḳhauf-o-ḳhatar tū ne
is terī banāvaT se hai saaf hameñ zāhir
āshiq ke miTāne par bāñdhī hai kamar tū ne
be-kār haiñ ye naale be-sūd haiñ ye aaheñ
khīñchā na agar un ko ai jazb-e-asar tū ne
dil merā jalāyā kyā afsos hazār afsos
barbād kiyā ai but allāh kā ghar tū ne
jo ba.ad-e-fanā tere kuchh kaam nahīñ aayā
kyuuñ jam.a kiyā mun.im vo maal vo zar tū ne
ham dard-e-mohabbat se taḌpā hī kiye lekin
allāh re bedardī dekhā na idhar tū ne
'sābir' ye himāqat hai hai ye tirī nādānī
apne ko jo samjhā hai har ek se dar tū ne
maiñ sabr kā ḳhūgar huuñ hai naam mirā 'sābir'
jābir hai to paayā hai patthar kā jigar tū ne
ki KHub wafa hum se li KHub KHabar tu ne
din-raat sitam Dhae ai bani-e-shar tu ne
kya hum ne bigaDa hai kyun hum ko satata hai
kyun zulm par ai zalim bandhi hai kamar tu ne
ai maut tajjub hai jo zinat-e-gulshan hai
kaTe wo shajar tu ne toDe wo samar tu ne
allah ke bandon par ai but ye sitam tere
rakkha na qayamat ka kuchh KHauf-o-KHatar tu ne
is teri banawaT se hai saf hamein zahir
aashiq ke miTane par bandhi hai kamar tu ne
be-kar hain ye nale be-sud hain ye aahen
khincha na agar un ko ai jazb-e-asar tu ne
dil mera jalaya kya afsos hazar afsos
barbaad kiya ai but allah ka ghar tu ne
jo baad-e-fana tere kuchh kaam nahin aaya
kyun jama kiya munim wo mal wo zar tu ne
hum dard-e-mohabbat se taDpa hi kiye lekin
allah re bedardi dekha na idhar tu ne
'sabir' ye himaqat hai hai ye teri nadani
apne ko jo samjha hai har ek se dar tu ne
main sabr ka KHugar hun hai nam mera 'sabir'
jabir hai to paya hai patthar ka jigar tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.