ki mai se hazar bar tauba
kī mai se hazār baar tauba
rahtī nahīñ barqarār tauba
tum mai se karo hazār baar tauba
tum se ye nibhe qarār tauba
bandoñ ko gunah tabāh karte
hotī na jo ġham-gusār tauba
hotī hai bahār meñ muattal
karte haiñ jo mai-gusār tauba
maqbūl ho kyuuñ na gar kareñ ham
bā-dīda-e-ashk-bār tauba
hogī kabhī 'mashriqī' na qubūl
piirī meñ karo hazār tauba
ki mai se hazar bar tauba
rahti nahin barqarar tauba
tum mai se karo hazar bar tauba
tum se ye nibhe qarar tauba
bandon ko gunah tabah karte
hoti na jo gham-gusar tauba
hoti hai bahaar mein muattal
karte hain jo mai-gusar tauba
maqbul ho kyun na gar karen hum
ba-dida-e-ashk-bar tauba
hogi kabhi 'mashriqi' na qubul
piri mein karo hazar tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.