kijiye hunar ka zikr kya aabru-e-hunar nahin
kījiye hunar kā zikr kyā ābrū-e-hunar nahīñ
sab ke banā.e ham ne ghar aur hamārā ghar nahīñ
kaisā ajiib vaqt hai koī bhī ham-safar nahīñ
dhuup bhī mo'tabar nahīñ saaya bhī mo'tabar nahīñ
jo mere ḳhvāb meñ rahī paikar-e-rañg-e-nūr thī
ye to lahūluhān hai ye to mirī sahar nahīñ
bhaTke hue haiñ qāfile kaise mileñgī manzileñ
sab to bane haiñ rāhzan koī bhī rāhbar nahīñ
kaisā ajiib hādsa ham pe guzar gayā 'anīs'
raakh kabhī ke ho chuke aur hameñ ḳhabar nahīñ
kijiye hunar ka zikr kya aabru-e-hunar nahin
sab ke banae hum ne ghar aur hamara ghar nahin
kaisa ajib waqt hai koi bhi ham-safar nahin
dhup bhi mo'tabar nahin saya bhi mo'tabar nahin
jo mere KHwab mein rahi paikar-e-rang-e-nur thi
ye to lahuluhan hai ye to meri sahar nahin
bhaTke hue hain qafile kaise milengi manzilen
sab to bane hain rahzan koi bhi rahbar nahin
kaisa ajib hadsa hum pe guzar gaya 'anis'
rakh kabhi ke ho chuke aur hamein KHabar nahin
- Book : Aiwan (Pg. 28)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.