kinara bhi jis se kinara kare hai
kinārā bhī jis se kinārā kare hai
vo hañs-hañs ke sab ġham gavāra kare hai
tirā 'aks maiñ ne zamīñ pe banāyā
vo tasvīr mujh ko pukārā kare hai
vo us kā tabassum vo merī shikāyat
vo ehsāñ ye kab kā utārā kare hai
yahāñ aarzū kī hī mahfil sajī hai
yahāñ kaun kis ko gavāra kare hai
mujhe chāhe jitnā haqārat se dekho
taġhāful to aur āshkārā kare hai
kabhī merī ulfat pukāre hai mujh ko
kabhī mujh ko aa ke ishāra kare hai
kinara bhi jis se kinara kare hai
wo hans-hans ke sab gham gawara kare hai
tera 'aks main ne zamin pe banaya
wo taswir mujh ko pukara kare hai
wo us ka tabassum wo meri shikayat
wo ehsan ye kab ka utara kare hai
yahan aarzu ki hi mahfil saji hai
yahan kaun kis ko gawara kare hai
mujhe chahe jitna haqarat se dekho
taghaful to aur aashkara kare hai
kabhi meri ulfat pukare hai mujh ko
kabhi mujh ko aa ke ishaara kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.