kinare moatabar hote muhafiz naKHuda hota
kināre mo'atabar hote muhāfiz nāḳhudā hotā
na kashtī Dūbtī koī na har pal sāneha hotā
yahāñ haq baat yaaro filoñ meñ na dabī hotī
umar fārūq jaisā gar hameñ munsif milā hotā
hasad-o-buġhz-o-kīna ḳhud-numā.ī haiñ sabhī fitne
ye na hote agar shaitāñ ne ik sajda kiyā hotā
lachak patthar meñ gar hotī to phir patthar na kahlātā
vo dabtā par ubhar jaane kā is meñ hausla hotā
na yuuñ māñ-bāp apnī nā-ḳhalaf aulād ko rote
agar har ek din un kā na fāqoñ meñ Dhalā hotā
na.ī tahzīb meñ zinda agar sharm-o-hayā hotī
to yuuñ na rāstoñ par zevar-e-ismat luTā hotā
kinare mo'atabar hote muhafiz naKHuda hota
na kashti Dubti koi na har pal saneha hota
yahan haq baat yaro filon mein na dabi hoti
umar faruq jaisa gar hamein munsif mila hota
hasad-o-bughz-o-kina KHud-numai hain sabhi fitne
ye na hote agar shaitan ne ek sajda kiya hota
lachak patthar mein gar hoti to phir patthar na kahlata
wo dabta par ubhar jaane ka is mein hausla hota
na yun man-bap apni na-KHalaf aulad ko rote
agar har ek din un ka na faqon mein Dhala hota
nai tahzib mein zinda agar sharm-o-haya hoti
to yun na raston par zewar-e-ismat luTa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.