kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije
kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
kināya aur Dhab kā is mirī majlis meñ kam kiije
ajī sab taaḌ jāveñge na aisā to sitam kiije
tumhāre vāste sahrā-nashīñ huuñ ek muddat se
basān-e-āhū-e-vahshī na mujh se aap ram kiije
mahārājoñ ke raaja ai junūñ DañDvat hai tum ko
yahī ab dil meñ aatā hai koī pothī raqam kiije
gale meñ Daal kar zunnār qashqa khīñch māthe par
barahman baniye aur tauf-e-dar-e-bait-us-sanam kiije
kahīñ dil kī lagāvaT ko jo yuuñ sūjhe ki tak jā kar
qadīmī yaar se apne bhī ḳhalta koī dam kījiye
tū uñglī kaaT dāñtoñ meñ phulā nathune ruhāñdī ho
lagā kahne bas ab mere buḌhāpe par karam kiije
phaḌaktā aaj bhī ham ko na parsoñ kī tarah rakhiye
ḳhudā ke vāste kuchh yaad vo aglī qasam kiije
malañg aapas meñ kahte the ki zāhid kuchh jo bole to
ishārā us ko jhaT sū-e-nar-añgusht-e-shikam kiije
kabhī ḳhat bhī na likh pahuñchā paḌhāyā aap ko kis ne
ki alqat dostī 'inshā' se aisī yak-qalam kījiye
kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije
aji sab taD jawenge na aisa to sitam kije
tumhaare waste sahra-nashin hun ek muddat se
basan-e-ahu-e-wahshi na mujh se aap ram kije
mahaarajon ke raja ai junun DanDwat hai tum ko
yahi ab dil mein aata hai koi pothi raqam kije
gale mein Dal kar zunnar qashqa khinch mathe par
barahman baniye aur tauf-e-dar-e-bait-us-sanam kije
kahin dil ki lagawaT ko jo yun sujhe ki tak ja kar
qadimi yar se apne bhi KHalta koi dam kijiye
tu ungli kaT danton mein phula nathune ruhandi ho
laga kahne bas ab mere buDhape par karam kije
phaDakta aaj bhi hum ko na parson ki tarah rakhiye
KHuda ke waste kuchh yaad wo agli qasam kije
malang aapas mein kahte the ki zahid kuchh jo bole to
ishaara us ko jhaT su-e-nar-angusht-e-shikam kije
kabhi KHat bhi na likh pahuncha paDhaya aap ko kis ne
ki alqat dosti 'insha' se aisi yak-qalam kijiye
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.