kiran si ek andhere mein jhilmilai hai
kiran sī ek añdhere meñ jhilmilā.ī hai
ye kis kī chashm-e-sahar-ḳhez muskurā.ī hai
Thahar nasīm zarā ham bhī saath chalte haiñ
gul-o-bahār se apnī bhī āshnā.ī hai
junūñ kī raah meñ rukte nahīñ haiñ dīvāne
farār ek dalīl-e-shikasta-pā.ī hai
ye jazb-e-dil kā asar hai ki ik tamāsha hai
idhar huzūr kā banda udhar ḳhudā.ī hai
gila kisī se na kar tere kūche tak saaqī
hameñ bhī gardish-e-daurāñ hī khīñch laa.ī hai
bujhe diyoñ kī zabāneñ dhuāñ ugaltī haiñ
na.ī sahar ne saf-e-tīrgī bichā.ī hai
vahī guloñ pe udāsī vahī fazā meñ sukūt
sunā hai 'tāj' chaman meñ bahār aa.ī hai
kiran si ek andhere mein jhilmilai hai
ye kis ki chashm-e-sahar-KHez muskurai hai
Thahar nasim zara hum bhi sath chalte hain
gul-o-bahaar se apni bhi aashnai hai
junun ki rah mein rukte nahin hain diwane
farar ek dalil-e-shikasta-pai hai
ye jazb-e-dil ka asar hai ki ek tamasha hai
idhar huzur ka banda udhar KHudai hai
gila kisi se na kar tere kuche tak saqi
hamein bhi gardish-e-dauran hi khinch lai hai
bujhe diyon ki zabanen dhuan ugalti hain
nai sahar ne saf-e-tirgi bichai hai
wahi gulon pe udasi wahi faza mein sukut
suna hai 'taj' chaman mein bahaar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.