kirdar hai aur apni kahani se juDa hai
kirdār hai aur apnī kahānī se juḌā hai
insān to bas ālam-e-fānī se juḌā hai
maiñ kaise kahūñ pyaas se marte nahīñ panchhī
ye saañs kā rishta bhī to paanī se juḌā hai
dil ab bhī tirī aarzū kartā hai musalsal
dil ab bhī mirā yaad ke paanī se juḌā hai
har shaḳhs hī duniyā se chalā jā.egā ik din
har shaḳhs hī jab naql-e-makānī se juḌā hai
is ġham ko bhī ab dil meñ jagah denī paḌegī
ye ġham bhī mire saath javānī se juḌā hai
ye dard mirī jaan kā dushman banā 'zebī'
is dard kā rishta bhī ravānī se juḌā hai
kirdar hai aur apni kahani se juDa hai
insan to bas aalam-e-fani se juDa hai
main kaise kahun pyas se marte nahin panchhi
ye sans ka rishta bhi to pani se juDa hai
dil ab bhi teri aarzu karta hai musalsal
dil ab bhi mera yaad ke pani se juDa hai
har shaKHs hi duniya se chala jaega ek din
har shaKHs hi jab naql-e-makani se juDa hai
is gham ko bhi ab dil mein jagah deni paDegi
ye gham bhi mere sath jawani se juDa hai
ye dard meri jaan ka dushman bana 'zebi'
is dard ka rishta bhi rawani se juDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.