kirdar ka ek husn tha kirdar ke pichhe
kirdār kā ik husn thā kirdār ke pīchhe
sarhad kī hañsī thī kisī talvār ke pīchhe
shāyad vo parindoñ ko ġhizā baañT rahā hai
murda hai koī jism jo kohsār ke pīchhe
jazbāt kā ik koh-e-girāñ rakhtā hai dil par
dahkī huī ik aag hai fankār ke pīchhe
bātoñ kī sadāqat ko kisī ne nahīñ parkhā
sab dauḌ paḌe surḳhi-e-aḳhbār ke pīchhe
ġhazloñ meñ 'matīn' apnī baḌā lutf hai pinhāñ
haiñ kitne fasāne mire iz.hār ke pīchhe
kirdar ka ek husn tha kirdar ke pichhe
sarhad ki hansi thi kisi talwar ke pichhe
shayad wo parindon ko ghiza banT raha hai
murda hai koi jism jo kohsar ke pichhe
jazbaat ka ek koh-e-giran rakhta hai dil par
dahki hui ek aag hai fankar ke pichhe
baaton ki sadaqat ko kisi ne nahin parkha
sab dauD paDe surKHi-e-aKHbar ke pichhe
ghazlon mein 'matin' apni baDa lutf hai pinhan
hain kitne fasane mere izhaar ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.