kis baat pe gir gae nazar se
kis baat pe gir ga.e nazar se
pūchhe to sadaf saf-e-guhar se
ai dasht-navard-e-dil palaT bhī
ai ḳhāk-ba-sar nikal bhī ghar se
ham ġharq-e-jamāl kyā batā.eñ
kis aan guzar gayā vo sar se
har chand ġhubār-e-rāh the ham
nikle na hisār-e-rahguzar se
dastak kī tarah jo ubhre 'ḳhālid'
kis dhun meñ palaT ga.e the dar se
kis baat pe gir gae nazar se
puchhe to sadaf saf-e-guhar se
ai dasht-naward-e-dil palaT bhi
ai KHak-ba-sar nikal bhi ghar se
hum gharq-e-jamal kya bataen
kis aan guzar gaya wo sar se
har chand ghubar-e-rah the hum
nikle na hisar-e-rahguzar se
dastak ki tarah jo ubhre 'KHalid'
kis dhun mein palaT gae the dar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.