kis dukhe dil ki bad-dua hun main
kis dukhe dil kī bad-duā huuñ maiñ
āj-kal ḳhud se bhī ḳhafā huuñ maiñ
koī mujh se mujhe milā detā
jism se apne lāpata huuñ maiñ
ham pe ilzām koī mat rakhnā
vo mirā us kā ho gayā huuñ maiñ
mere nazdīk aa gayā hai tū
terī aahaT ko sun rahā huuñ maiñ
jin kī chāhat meñ ho gayā barbād
ab vo kahte haiñ bevafā huuñ maiñ
dard siine meñ raqs kartā hai
giit ḳhushiyoñ ke gā rahā huuñ maiñ
mujh ko 'shabbīr-shād' kahte haiñ
aap ke dar pe aa gayā huuñ maiñ
kis dukhe dil ki bad-dua hun main
aaj-kal KHud se bhi KHafa hun main
koi mujh se mujhe mila deta
jism se apne lapata hun main
hum pe ilzam koi mat rakhna
wo mera us ka ho gaya hun main
mere nazdik aa gaya hai tu
teri aahaT ko sun raha hun main
jin ki chahat mein ho gaya barbaad
ab wo kahte hain bewafa hun main
dard sine mein raqs karta hai
git KHushiyon ke ga raha hun main
mujh ko 'shabbir-shad' kahte hain
aap ke dar pe aa gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.