Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis fikr kis KHayal mein khoya hua sa hai

Shahryar

kis fikr kis KHayal mein khoya hua sa hai

Shahryar

MORE BYShahryar

    kis fikr kis ḳhayāl meñ khoyā huā hai

    dil aaj terī yaad ko bhūlā huā hai

    gulshan meñ is tarah se kab aa.ī thī fasl-e-gul

    har phuul apnī shāḳh se TuuTā huā hai

    chal chal ke thak gayā hai ki manzil nahīñ koī

    kyuuñ vaqt ek moḌ pe Thahrā huā hai

    kyā hādisa huā hai jahāñ meñ ki aaj phir

    chehra har ek shaḳhs utrā huā hai

    nazrāna tere husn ko kyā deñ ki apne paas

    le de ke ek dil hai so TuuTā huā hai

    pahle the jo bhī aaj magar kārobār-e-ishq

    duniyā ke kārobār se miltā huā hai

    lagtā hai us bātoñ se ye 'shahryār' bhī

    yāroñ ke iltifāt maarā huā hai

    kis fikr kis KHayal mein khoya hua sa hai

    dil aaj teri yaad ko bhula hua sa hai

    gulshan mein is tarah se kab aai thi fasl-e-gul

    har phul apni shaKH se TuTa hua sa hai

    chal chal ke thak gaya hai ki manzil nahin koi

    kyun waqt ek moD pe Thahra hua sa hai

    kya hadisa hua hai jahan mein ki aaj phir

    chehra har ek shaKHs ka utra hua sa hai

    nazrana tere husn ko kya den ki apne pas

    le de ke ek dil hai so TuTa hua sa hai

    pahle the jo bhi aaj magar karobar-e-ishq

    duniya ke karobar se milta hua sa hai

    lagta hai us ki baaton se ye 'shahryar' bhi

    yaron ke iltifat ka mara hua sa hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kis fikr kis KHayal mein khoya hua sa hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now