kis haqiqat ka inkishaf kiya
kis haqīqat kā inkishāf kiyā
dil ne mujh ko mire ḳhilāf kiyā
mere hone kā e'tirāf kiyā
mujh se jis ne bhī iḳhtilāf kiyā
to ne mujh ko muaaf kar Daalā
maiñ ne ḳhud ko nahīñ muaaf kiyā
aañkh maiñ gard-e-ḳhud-numā.ī thī
phir mujhe aa.ine ne saaf kiyā
ek sūrat dikhā.ī dene lagī
maiñ ne dil meñ ajab shigāf kiyā
ek duniyā tabāh kar Daalī
ek zarre ne inhirāf kiyā
masjidoñ meñ the shor-o-shar 'nayyar'
maiñ ne sahrā meñ etakāf kiyā
kis haqiqat ka inkishaf kiya
dil ne mujh ko mere KHilaf kiya
mere hone ka e'tiraf kiya
mujh se jis ne bhi iKHtilaf kiya
to ne mujh ko muaf kar Dala
main ne KHud ko nahin muaf kiya
aankh main gard-e-KHud-numai thi
phir mujhe aaine ne saf kiya
ek surat dikhai dene lagi
main ne dil mein ajab shigaf kiya
ek duniya tabah kar Dali
ek zarre ne inhiraf kiya
masjidon mein the shor-o-shar 'nayyar'
main ne sahra mein etakaf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.