kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya
kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya
Aamir Suhail
MORE BYAamir Suhail
kis hathelī pe pā-posh sīñche ga.e kis kahānī ko be-nām rakhā gayā
zānū-e-dil pe kal shab baḌī bhiiḌ thī jis ke barte pe anjām rakhā gayā
ham shurūa mohabbat se nādār the apnī āñkhoñ se hoñToñ se bezār the
ham se kyā pūchhte ho lahū kī khanak jis ke reshoñ meñ ib.hām rakhā gayā
intihāoñ meñ tujh se alag ho ga.e ibtidāoñ se hī sahl-andāz the
'umr ke reg-zāroñ se guzre nahīñ aur shānoñ pe ilzām rakhā gayā
raunaqoñ meñ tamāshā bane raat din ḳhalvatī the sadā ḳhalvatī hī rahe
mushk kī naañd kūlhe pe dekhī ga.ī aur pahlū meñ ilhām rakhā gayā
aisī be-vuq.atī se tarāshā gayā apne hone pe nādim rahe 'umr bhar
ḳhushk miTTī ke Dheloñ ko yakjā kiyā āñdhiyoñ ke tale naam rakhā gayā
ras-bharī kuhniyoñ ko nichoḌā gayā shahr ke chauk meñ lā ke chhoḌā gayā
jism ke Dhīle tāroñ ko kaste rahe aur bhītar meñ kohrām rakhā gayā
goliyoñ se udhaḌte rahe naam bhī bām-o-dar kī hikāyat adhūrī rahī
bām-o-dar kī hikāyat ki jis ke evaz baḳht meñ dāna-o-dām rakhā gayā
jaam meñ tund paanī bharā dekhiye ab charāġhoñ kī lau ko mirā dekhiye
surḳh qālīn aur is pe bichhtī ġhazal jis ke zaanū pe ehrām rakhā gayā
kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya
zanu-e-dil pe kal shab baDi bhiD thi jis ke barte pe anjam rakha gaya
hum shurua mohabbat se nadar the apni aankhon se honTon se bezar the
hum se kya puchhte ho lahu ki khanak jis ke reshon mein ibham rakha gaya
intihaon mein tujh se alag ho gae ibtidaon se hi sahl-andaz the
'umr ke reg-zaron se guzre nahin aur shanon pe ilzam rakha gaya
raunaqon mein tamasha bane raat din KHalwati the sada KHalwati hi rahe
mushk ki nand kulhe pe dekhi gai aur pahlu mein ilham rakha gaya
aisi be-wuqati se tarasha gaya apne hone pe nadim rahe 'umr bhar
KHushk miTTi ke Dhelon ko yakja kiya aandhiyon ke tale nam rakha gaya
ras-bhari kuhniyon ko nichoDa gaya shahr ke chauk mein la ke chhoDa gaya
jism ke Dhile taron ko kaste rahe aur bhitar mein kohram rakha gaya
goliyon se udhaDte rahe nam bhi baam-o-dar ki hikayat adhuri rahi
baam-o-dar ki hikayat ki jis ke ewaz baKHt mein dana-o-dam rakha gaya
jam mein tund pani bhara dekhiye ab charaghon ki lau ko mera dekhiye
surKH qalin aur is pe bichhti ghazal jis ke zanu pe ehram rakha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.