kis jagah jalwa nahin ai mah-e-taban tera
kis jagah jalwa nahin ai mah-e-taban tera
Ahmad Shah Khan Shabnam
MORE BYAhmad Shah Khan Shabnam
kis jagah jalva nahīñ ai mah-e-tābāñ terā
pā hī jaatā hai tujhe har kahīñ ḳhvāhāñ terā
kaun dekhe tujhe us māh-jabīñ ke hote
muñh udhar ko rahe ai mehr-e-daraḳhshāñ terā
tere saa.e ko bhī tujh tak na phaTakne detā
yaar hotā jo ye nāchīz nigahbāñ terā
kisī āshufta kā kyā sabr paḌā hai us par
kyoñ pareshān hai gesū-e-pareshāñ terā
le ke dil mujh se koī apnā na kaam is se liyā
kaash ā.īna hī hotā dil-e-hairāñ terā
aaj hai vasl kī shab jā bhī tirā muñh kaalā
phir na dikhlā.e ḳhudā muñh shab-e-hijrāñ terā
jaan se tang huuñ par jaan se jā.ūñ kyūñkar
mujh ko marne bhī to detā nahīñ armāñ terā
kaun jaa.e dar-e-dildār se uTh kar vaa.iz
ḳhair achchhā hī sahī rauza-e-rizvāñ terā
sher is meñ nahīñ ye phuul khile haiñ 'shabnam'
huur ke haath kā guldasta hai dīvāñ terā
kis jagah jalwa nahin ai mah-e-taban tera
pa hi jata hai tujhe har kahin KHwahan tera
kaun dekhe tujhe us mah-jabin ke hote
munh udhar ko rahe ai mehr-e-daraKHshan tera
tere sae ko bhi tujh tak na phaTakne deta
yar hota jo ye nachiz nigahban tera
kisi aashufta ka kya sabr paDa hai us par
kyon pareshan hai gesu-e-pareshan tera
le ke dil mujh se koi apna na kaam is se liya
kash aaina hi hota dil-e-hairan tera
aaj hai wasl ki shab ja bhi tera munh kala
phir na dikhlae KHuda munh shab-e-hijran tera
jaan se tang hun par jaan se jaun kyunkar
mujh ko marne bhi to deta nahin arman tera
kaun jae dar-e-dildar se uTh kar waiz
KHair achchha hi sahi rauza-e-rizwan tera
sher is mein nahin ye phul khile hain 'shabnam'
hur ke hath ka guldasta hai diwan tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.