kis jagah mera makan tamir hai
kis jagah merā makāñ ta.amīr hai
har taraf zikr-e-kamān-o-tīr hai
rahne do jab tak hai qaa.em rābta
zindagī parchhā.īñ hai tasvīr hai
sab harīs-e-lazzat-e-fāqa-kashī
mas.ala ye kis qadar gambhīr hai
shā.erī ne moḌ aisā le liyā
'dard' hai baaqī na koī 'mīr' hai
ik kalī khil kar yahāñ murjhā ga.ī
zindagī kī kyā yahī ta.abīr hai
'mīr'-o-'ġhālib' 'faiz'-o-'iqbāl'-o-'firāq'
apnī 'ādil' bas yahī jāgīr hai
kis jagah mera makan tamir hai
har taraf zikr-e-kaman-o-tir hai
rahne do jab tak hai qaem rabta
zindagi parchhain hai taswir hai
sab haris-e-lazzat-e-faqa-kashi
masala ye kis qadar gambhir hai
shaeri ne moD aisa le liya
'dard' hai baqi na koi 'mir' hai
ek kali khil kar yahan murjha gai
zindagi ki kya yahi tabir hai
'mir'-o-'ghaalib' 'faiz'-o-'iqbaal'-o-'firaq'
apni 'adil' bas yahi jagir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.