kis ka darwaza khaTkhaTati hai
kis kā darvāza khaTkhaTātī hai
duur tak ḳhvāhish uḌtī jaatī hai
dil vo merā ajab bahānoñ se
toḌtī hai kabhī banātī hai
juuñ hī hotī huuñ gum kahānī meñ
tirī tasvīr DhūñD laatī hai
das moharram ko pyaas karbal kī
mujh ko har baar hī rulātī hai
apnī zar-ḳheziyāñ baḌhāne ko
giilī miTTī mujhe bulātī hai
ishq 'amabar' vo be-qarārī hai
lagtī hai aur baḌhtī jaatī hai
kis ka darwaza khaTkhaTati hai
dur tak KHwahish uDti jati hai
dil wo mera ajab bahanon se
toDti hai kabhi banati hai
jun hi hoti hun gum kahani mein
teri taswir DhunD lati hai
das moharram ko pyas karbal ki
mujh ko har bar hi rulati hai
apni zar-KHeziyan baDhane ko
gili miTTi mujhe bulati hai
ishq 'amabar' wo be-qarari hai
lagti hai aur baDhti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.