kis ka ye ghar bana hai kis ki gali bani hai
kis kā ye ghar banā hai kis kī galī banī hai
ham to abhī ga.e the phir ye kabhī banī hai
aañsū kā tere qatra hai mez par abhī tak
tū dekh aa ke is meñ ik jal-parī banī hai
do-tīn maah pahle bachchī thī chhoḌī maiñ ne
jaane vo itnī jaldī kaise baḌī banī hai
apnī banā.ī duniyā kā apnā ik maza hai
ye jo banī huī hai ye to banī banī hai
'javvād' chhoḌ kis ne tujh se banā.e rakkhī
bas ye batā de ham ko kis se tirī banī hai
kis ka ye ghar bana hai kis ki gali bani hai
hum to abhi gae the phir ye kabhi bani hai
aansu ka tere qatra hai mez par abhi tak
tu dekh aa ke is mein ek jal-pari bani hai
do-tin mah pahle bachchi thi chhoDi main ne
jaane wo itni jaldi kaise baDi bani hai
apni banai duniya ka apna ek maza hai
ye jo bani hui hai ye to bani bani hai
'jawwad' chhoD kis ne tujh se banae rakkhi
bas ye bata de hum ko kis se teri bani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.