kis ke dil mein basta hun
kis ke dil meñ bastā huuñ
aksar sochā kartā huuñ
sat.h ke nīche kuchh bhī nahīñ
kahne ko maiñ dariyā huuñ
ḳhud ko kabhī maiñ pā na sakā
jaane kitnā gahrā huuñ
aaj bhī shāyad tū aa.e
ḳhvāb sajā.e baiThā huuñ
rah kar arse tak be-āb
motī ban kar chamkā huuñ
jaag rahā hai dīvāna
aur maiñ soyā rahtā huuñ
kis ke dil mein basta hun
aksar socha karta hun
sath ke niche kuchh bhi nahin
kahne ko main dariya hun
KHud ko kabhi main pa na saka
jaane kitna gahra hun
aaj bhi shayad tu aae
KHwab sajae baiTha hun
rah kar arse tak be-ab
moti ban kar chamka hun
jag raha hai diwana
aur main soya rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.