kis ke hathon bik gaya kis ke KHaridaron mein hun
kis ke hathon bik gaya kis ke KHaridaron mein hun
Agha Hajju Sharaf
MORE BYAgha Hajju Sharaf
kis ke hāthoñ bik gayā kis ke ḳharīdāroñ meñ huuñ
kyā hai kyuuñ mash.hūr maiñ saudā.ī bāzāroñ meñ huuñ
ġham nahīñ jo beḌiyāñ pahne giraftāroñ meñ huuñ
naaz hai is par ki tere nāz-bardāroñ meñ huuñ
tere kūche meñ jo merā ḳhuun ho ai lāla-rū
surḳh-rū yāroñ meñ huuñ gul-rañg gulzāroñ meñ huuñ
is qadar hai ai parī-rū zor par josh-e-junūñ
sar se toḌūñ qaid agar lohe kī dīvāroñ meñ huuñ
ishq se matlab na thā dil zulf meñ uljhā na thā
thā jab āzādoñ meñ thā ab to giraftāroñ meñ huuñ
hogī māshūqoñ ko ḳhvāhish mujh nahīf-o-zār kī
gul kareñge aarzū merī maiñ un ḳhāroñ meñ huuñ
dil ko dhamkānā hai dhyān us nargis-e-bīmār kā
jaan le kar chhoḌtā huuñ maiñ un āzāroñ meñ huuñ
us mire saude kā duniyā meñ Thikānā hai kahīñ
jaan kā gāhak jo hai us ke ḳharīdāroñ meñ huuñ
kis se pūchhūñ kyā karūñ sayyād kī marzī kī baat
taaza vārid huuñ qafas meñ to giraftāroñ meñ huuñ
aarzū hai maiñ vo gul ho jā.ūñ ai rashk-e-chaman
baaġh meñ din bhar rahūñ shab ko tire hāroñ meñ huuñ
aa gayā dam ziiq meñ lekin na ye sābit huā
kaun hai iisā mirā maiñ kis ke bīmāroñ meñ huuñ
Dariye aisī aañkh se jo saaf ishāre se kahe
nargis-e-bīmār huuñ par mardum-āzāroñ meñ huuñ
dil to maiñ sadqa karūñ tum us pe merī jaan lo
tum hī munsif ho ki maiñ aise gunahgāroñ meñ huuñ
kaun huuñ kyā huuñ kahāñ huuñ maiñ nahīñ ye bhī ḳhabar
ḳhud-ġhalat ḳhud-rafta huuñ maiñ ḳhaak hoshyāroñ meñ huuñ
hai ye abrū kā ishārā thī jahāñ kī zul-fiqār
ai 'sharaf' maiñ us sulah-ḳhānī kī talvāroñ meñ huuñ
kis ke hathon bik gaya kis ke KHaridaron mein hun
kya hai kyun mashhur main saudai bazaron mein hun
gham nahin jo beDiyan pahne giraftaron mein hun
naz hai is par ki tere naz-bardaron mein hun
tere kuche mein jo mera KHun ho ai lala-ru
surKH-ru yaron mein hun gul-rang gulzaron mein hun
is qadar hai ai pari-ru zor par josh-e-junun
sar se toDun qaid agar lohe ki diwaron mein hun
ishq se matlab na tha dil zulf mein uljha na tha
tha jab aazadon mein tha ab to giraftaron mein hun
hogi mashuqon ko KHwahish mujh nahif-o-zar ki
gul karenge aarzu meri main un KHaron mein hun
dil ko dhamkana hai dhyan us nargis-e-bimar ka
jaan le kar chhoDta hun main un aazaron mein hun
us mere saude ka duniya mein Thikana hai kahin
jaan ka gahak jo hai us ke KHaridaron mein hun
kis se puchhun kya karun sayyaad ki marzi ki baat
taza warid hun qafas mein to giraftaron mein hun
aarzu hai main wo gul ho jaun ai rashk-e-chaman
bagh mein din bhar rahun shab ko tere haaron mein hun
aa gaya dam ziq mein lekin na ye sabit hua
kaun hai isa mera main kis ke bimaron mein hun
Dariye aisi aankh se jo saf ishaare se kahe
nargis-e-bimar hun par mardum-azaron mein hun
dil to main sadqa karun tum us pe meri jaan lo
tum hi munsif ho ki main aise gunahgaron mein hun
kaun hun kya hun kahan hun main nahin ye bhi KHabar
KHud-ghalat KHud-rafta hun main KHak hoshyaron mein hun
hai ye abru ka ishaara thi jahan ki zul-fiqar
ai 'sharaf' main us sulah-KHani ki talwaron mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.