kis KHushi ki talab nahin dil mein
kis ḳhushī kī talab nahīñ dil meñ
dard kuchh be-sabab nahīñ dil meñ
aap kā intizār hai phir bhī
bekalī go ki ab nahīñ dil meñ
ġham-e-daurāñ kā ho harā varna
aap kī yaad kab nahīñ dil meñ
jaane kyā gul khilā.e shām-e-bahār
hasrat-e-zulf-o-lab nahīñ dil meñ
kaun sī hai vo aarzū ki 'salām'
aaj bhī tishna-lab nahīñ dil meñ
kis KHushi ki talab nahin dil mein
dard kuchh be-sabab nahin dil mein
aap ka intizar hai phir bhi
bekali go ki ab nahin dil mein
gham-e-dauran ka ho hara warna
aap ki yaad kab nahin dil mein
jaane kya gul khilae sham-e-bahaar
hasrat-e-zulf-o-lab nahin dil mein
kaun si hai wo aarzu ki 'salam'
aaj bhi tishna-lab nahin dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.