kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan
kis kī aamad se bahārāñ huā maskan maskan
aaj gul khilte rahe chaar sū gulshan gulshan
vo jo uThī thī mirī samt uchaTtī sī nigāh
kar ga.ī raakh sakūñ kā mire ḳhirman ḳhirman
saañs hiddat se kiye rakhtī hai mujh ko sarshār
kaun paikar meñ mire bas gayā dhaḌkan dhaḌkan
dekhiye us but-e-kāfir ke satāne kī adā
ḳhvāb meñ dikhtā hai to bhī pas-e-chilman-chilman
luuT kar le gayā mujh se vo mirā apnā vajūd
ab to apnā sā lage raah kā rahzan rahzan
vaqt ruḳhsat bhī nahīñ aane dī āñkhoñ meñ namī
sub.h-dam tar thā magar phūloñ kā dāman dāman
kaise kah duuñ maiñ nahīñ muntazir us kī 'resham'
tan kī dīvār meñ do āñkheñ haiñ rauzan rauzan
kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan
aaj gul khilte rahe chaar su gulshan gulshan
wo jo uThi thi meri samt uchaTti si nigah
kar gai rakh sakun ka mere KHirman KHirman
sans hiddat se kiye rakhti hai mujh ko sarshaar
kaun paikar mein mere bas gaya dhaDkan dhaDkan
dekhiye us but-e-kafir ke satane ki ada
KHwab mein dikhta hai to bhi pas-e-chilman-chilman
luT kar le gaya mujh se wo mera apna wajud
ab to apna sa lage rah ka rahzan rahzan
waqt ruKHsat bhi nahin aane di aankhon mein nami
subh-dam tar tha magar phulon ka daman daman
kaise kah dun main nahin muntazir us ki 'resham'
tan ki diwar mein do aankhen hain rauzan rauzan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.