kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain
kis kī mehnat ke ye shahkār nazar aate haiñ
peḌ jo rah meñ samar-dār nazar aate haiñ
aur dastār kī taz.hīk bhalā kyā hogī
sar kaTe sāhab-e-dastār nazar aate haiñ
kyā huā habs-zada hai jo makīnoñ kā mizāj
ghar ke kamre to havā-dār nazar aate haiñ
bhuuk fāqoñ se baġhal-gīr huī hai aise
shahr meñ qaht ke āsār nazar aate haiñ
un ke andar kā to insān hai reza-reza
log qāmat meñ jo kohsār nazar aate haiñ
apnī har baat pe aḌ jaate haiñ bachchoñ kī tarah
sar-phire sāhab-e-kirdār nazar aate haiñ
har jabīñ par hai sajī jhuuT kī surḳhī ai 'jān'
ab to insān bhī aḳhbār nazar aate haiñ
kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain
peD jo rah mein samar-dar nazar aate hain
aur dastar ki tazhik bhala kya hogi
sar kaTe sahab-e-dastar nazar aate hain
kya hua habs-zada hai jo makinon ka mizaj
ghar ke kamre to hawa-dar nazar aate hain
bhuk faqon se baghal-gir hui hai aise
shahr mein qaht ke aasar nazar aate hain
un ke andar ka to insan hai reza-reza
log qamat mein jo kohsar nazar aate hain
apni har baat pe aD jate hain bachchon ki tarah
sar-phire sahab-e-kirdar nazar aate hain
har jabin par hai saji jhuT ki surKHi ai 'jaan'
ab to insan bhi aKHbar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.