kis ki tahwil mein the kis ke hawale hue log
kis kī tahvīl meñ the kis ke havāle hue log
chashm-e-girya meñ rahe dil se nikāle hue log
kab se rāhoñ meñ tirī gard bane baiThe haiñ
tujh se milne ke liye vaqt ko Taale hue log
kahīñ āñkhoñ se chhalakne nahīñ dete tujh ko
kaise phirte haiñ tire ḳhvāb sambhāle hue log
dāman-e-sub.h meñ girte hue tāroñ kī tarah
jal rahe haiñ tirī qurbat ke ujāle hue log
yā tujhe rakhte haiñ yā phir tirī ḳhvāhish dil meñ
aise duniyā meñ kahāñ chāhne vaale hue log
kis ki tahwil mein the kis ke hawale hue log
chashm-e-girya mein rahe dil se nikale hue log
kab se rahon mein teri gard bane baiThe hain
tujh se milne ke liye waqt ko Tale hue log
kahin aankhon se chhalakne nahin dete tujh ko
kaise phirte hain tere KHwab sambhaale hue log
daman-e-subh mein girte hue taron ki tarah
jal rahe hain teri qurbat ke ujale hue log
ya tujhe rakhte hain ya phir teri KHwahish dil mein
aise duniya mein kahan chahne wale hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.