kis kis jatan se un ko bulaen mohabbaten
kis kis jatan se un ko bulā.eñ mohabbateñ
dāġhoñ se dil ke ghar ko jalā.eñ mohabbateñ
chubhne pe lams-e-gul se bhī bantā hai zaḳhm aur
kho jaa.eñ gar to ḳhuun rulā.eñ mohabbateñ
āñkhoñ meñ rang bhar ke ye bīnā.ī chhīn leñ
kyā kyā hasīn ḳhvāb dikhā.eñ mohabbateñ
kyā ho gayā azaab ye ab hāfiza mirā
tū hī batā ki kaise bhulā.eñ mohabbateñ
dāman chhuḌā ke un se maiñ jā.ūñ to kyā karūñ
kaise taḌap taḌap ke bulā.eñ mohabbateñ
nas-nas meñ rach ga.ī haiñ to 'zebā' ho kyā bhalā
kaise dil-o-dimāġh se jaa.eñ mohabbateñ
kis kis jatan se un ko bulaen mohabbaten
daghon se dil ke ghar ko jalaen mohabbaten
chubhne pe lams-e-gul se bhi banta hai zaKHm aur
kho jaen gar to KHun rulaen mohabbaten
aankhon mein rang bhar ke ye binai chhin len
kya kya hasin KHwab dikhaen mohabbaten
kya ho gaya azab ye ab hafiza mera
tu hi bata ki kaise bhulaen mohabbaten
daman chhuDa ke un se main jaun to kya karun
kaise taDap taDap ke bulaen mohabbaten
nas-nas mein rach gai hain to 'zeba' ho kya bhala
kaise dil-o-dimagh se jaen mohabbaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.