kis liye parwana KHakistar hua
kis liye parvāna ḳhākistar huā
sham.a kyuuñ apnī jalan meñ ghul ga.ī
muntashir kyuuñ ho ga.e aurāq-e-gul
chīḳhtī gulshan se kyuuñ bulbul ga.ī
ābdīda ho ke shabnam kyuuñ chalī
dam ke dam kāñToñ meñ aa kar tul ga.ī
sabza-e-tarf-e-ḳhayābāñ kyā huā
aah kyuuñ shādābī-e-sumbul ga.ī
kuchh na thā ḳhvāb-e-pareshāñ ke sivā
is theater kī haqīqat khul ga.ī
raah ke rañj-o-ta.ab kā kyā gila
jab ki dil se gard-e-kulfat dhul ga.ī
kis liye parwana KHakistar hua
shama kyun apni jalan mein ghul gai
muntashir kyun ho gae auraq-e-gul
chiKHti gulshan se kyun bulbul gai
aabdida ho ke shabnam kyun chali
dam ke dam kanTon mein aa kar tul gai
sabza-e-tarf-e-KHayaban kya hua
aah kyun shadabi-e-sumbul gai
kuchh na tha KHwab-e-pareshan ke siwa
is theater ki haqiqat khul gai
rah ke ranj-o-tab ka kya gila
jab ki dil se gard-e-kulfat dhul gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.