Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis mast ada se aankh laDi matwala bana lahra ke gira

Arzoo Lakhnavi

kis mast ada se aankh laDi matwala bana lahra ke gira

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    kis mast adā se aañkh laḌī matvālā banā lahrā ke girā

    aage to haiñ rāheñ aur kaThin dil pahle Thokar khā ke girā

    aage jo baḌhā tharrā.e qadam vo hañs jo diye sharmā ke girā

    behosh nahīñ hoshyār thā maiñ uThne sahārā ke girā

    dil shauq ke josh meñ dauḌ chalā aur josh to hotā hai andhā

    dar band paḌā thā qismat Takkar jo lagī teyorā ke girā

    jitnī bhī dil zarūrat thī bas utnī himmat-o-tāqat thī

    raste khakheḌeñ jhel gayā paas aate maiñ chakrā ke girā

    kyā ishq manzil bhī hai kaḌī bañdh bañdh kar himmat TuuT ga.ī

    jo ek qadam chal kar sambhlā vo do qadam aage ke girā

    sulgī huī hai ġham bhaTTī dil kyuuñ na pighal ke bane paanī

    jo qatra aañsū ho ke bahā lahrā ke chalā teyorā ke girā

    vo naala falak se Takrāyā vo 'ārzū' ik taarā TuuTā

    dushman taraf jo lapkā thā sho.ala vo mujhī par aa ke girā

    kis mast ada se aankh laDi matwala bana lahra ke gira

    aage to hain rahen aur kaThin dil pahle hi Thokar kha ke gira

    aage jo baDha tharrae qadam wo hans jo diye sharma ke gira

    behosh nahin hoshyar tha main uThne ka sahaara pa ke gira

    dil shauq ke josh mein dauD chala aur josh to hota hai andha

    dar band paDa tha qismat ka Takkar jo lagi teyora ke gira

    jitni bhi dil ki zarurat thi bas utni hi himmat-o-taqat thi

    raste ki khakheDen jhel gaya pas aate hi main chakra ke gira

    kya ishq ki manzil bhi hai kaDi bandh bandh kar himmat TuT gai

    jo ek qadam chal kar sambhla wo do qadam aage ja ke gira

    sulgi hui hai gham ki bhaTTi dil kyun na pighal ke bane pani

    jo qatra aansu ho ke baha lahra ke chala teyora ke gira

    wo nala falak se Takraya wo 'arzu' ek tara TuTa

    dushman ki taraf jo lapka tha shoala wo mujhi par aa ke gira

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now