kis mohabbat se ye hijrat ke nishan dekhti hai
kis mohabbat se ye hijrat ke nishan dekhti hai
Khalid Nadeem Shaani
MORE BYKhalid Nadeem Shaani
kis mohabbat se ye hijrat ke nishāñ dekhtī hai
raunaq-e-duniyā mirī aañkh jahāñ dekhtī hai
niiñd dīvār pe baiThī hai parinde kī tarah
mustaqil basne se pahle vo makāñ dekhtī hai
koī chingārī tire aane se shāyad bhaḌke
raakh hotī huī ummīd dhuāñ dekhtī hai
dil kā ye shahr bhī lahore huā jaatā hai
is jahāñgīr ko ik nuur jahāñ dekhtī hai
aañkh to aañkh hai phir ḳhvāb sajā letī hai
ye mirī Dhaltī huī umr kahāñ dekhtī hai
hazrat-e-josh ke dīvān kā jab zikr chale
kitnī hasrat se hameñ urdu zabāñ dekhtī hai
ab kisī moḌ pe rukne kā tasavvur bhī muhāl
merī vahshat tirī majbūrī kahāñ dekhtī hai
kis mohabbat se ye hijrat ke nishan dekhti hai
raunaq-e-duniya meri aankh jahan dekhti hai
nind diwar pe baiThi hai parinde ki tarah
mustaqil basne se pahle wo makan dekhti hai
koi chingari tere aane se shayad bhaDke
rakh hoti hui ummid dhuan dekhti hai
dil ka ye shahr bhi lahore hua jata hai
is jahangir ko ek nur jahan dekhti hai
aankh to aankh hai phir KHwab saja leti hai
ye meri Dhalti hui umr kahan dekhti hai
hazrat-e-josh ke diwan ka jab zikr chale
kitni hasrat se hamein urdu zaban dekhti hai
ab kisi moD pe rukne ka tasawwur bhi muhaal
meri wahshat teri majburi kahan dekhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.