kis ne kaha hasinon ko dekha na kijiye
kis ne kaha hasinon ko dekha na kijiye
Kishan lal Khandaan Dehlvi
MORE BYKishan lal Khandaan Dehlvi
kis ne kahā hasīnoñ ko dekhā na kījiye
jī bhar ke ḳhuub dekhiye ghūrā na kījiye
aa jā.iyegā shaam saverā na kījiye
merī shab-e-visāl kā taḌkā na kījiye
nāseh kī jhā.eñ-jhā.eñ se chakrā gayā dimāġh
aisā na kījiye kabhī vaisā na kījiye
daftar ke baa'd kījiye biivī kī naukrī
kyā kyā janāb kījiye kyā kyā na kījiye
bīmār mujh ko rakhnā hai achchhā yūñhī sahī
achchhā mujhe na kījiye achchhā na kījiye
itnā hañsā ki aañkh meñ aañsū bhī aa ga.e
'ḳhandāñ' kisī ko itnā hañsāyā na kījiye
kis ne kaha hasinon ko dekha na kijiye
ji bhar ke KHub dekhiye ghura na kijiye
aa jaiyega sham sawera na kijiye
meri shab-e-visal ka taDka na kijiye
naseh ki jhaen-jhaen se chakra gaya dimagh
aisa na kijiye kabhi waisa na kijiye
daftar ke ba'd kijiye biwi ki naukri
kya kya janab kijiye kya kya na kijiye
bimar mujh ko rakhna hai achchha yunhi sahi
achchha mujhe na kijiye achchha na kijiye
itna hansa ki aankh mein aansu bhi aa gae
'KHandan' kisi ko itna hansaya na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.