kis ne kaha ki mujhko ye duniya nahin pasand
kis ne kahā ki mujh ko ye duniyā nahīñ pasand
bas sāmne kā thoḌā sā hissa nahīñ pasand
barsoñ se is ke saath guzar kar rahe haiñ ham
har-chand zindagī kā ravayya nahīñ pasand
sūraj tulūa hote hī dar band ho ga.e
ye kaise log haiñ ki saverā nahīñ pasand
ḳhvāhish to hai mujhe bhī ki manzil mile magar
yuuñ dūsroñ kī raah pe chalnā nahīñ pasand
maiñ jāntā huuñ jaan hī le legī tishnagī
lekin mujhe ḳhushāmad-e-dariyā nahīñ pasand
tārīf kar rahe the sabhī ziist kī 'salīm'
maiñ ne bhī kuchh qarīb se dekhā nahīñ pasand
kis ne kaha ki mujh ko ye duniya nahin pasand
bas samne ka thoDa sa hissa nahin pasand
barson se is ke sath guzar kar rahe hain hum
har-chand zindagi ka rawayya nahin pasand
suraj tulua hote hi dar band ho gae
ye kaise log hain ki sawera nahin pasand
KHwahish to hai mujhe bhi ki manzil mile magar
yun dusron ki rah pe chalna nahin pasand
main jaanta hun jaan hi le legi tishnagi
lekin mujhe KHushamad-e-dariya nahin pasand
tarif kar rahe the sabhi zist ki 'salim'
main ne bhi kuchh qarib se dekha nahin pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.