kis ne mohabbaton ko adawat mein rakh diya
kis ne mohabbatoñ ko adāvat meñ rakh diyā
dil kī bujhāratoñ ko safārat meñ rakh diyā
chehre ke sab nuqūsh zamāne ke saath the
ik dil thā so tumhārī ibādat meñ rakh diyā
apnā vajūd kho ke tumheñ pā liyā to phir
kyoñ apnī chāhatoñ ko nadāmat meñ rakh diyā
āñkheñ gañvā ke puurī tarah mutma.in na thī
ik sar bachā thā vo bhī mohabbat meñ rakh diyā
ye sard aag merā badan chāTtī rahe
maiñ ne to ishq dil kī harārat meñ rakh diyā
rone kā ye hunar bhī na tere liye kiyā
talvār ko bhī terī himāyat meñ rakh diyā
kis ne mohabbaton ko adawat mein rakh diya
dil ki bujhaaraton ko safarat mein rakh diya
chehre ke sab nuqush zamane ke sath the
ek dil tha so tumhaari ibaadat mein rakh diya
apna wajud kho ke tumhein pa liya to phir
kyon apni chahaton ko nadamat mein rakh diya
aankhen ganwa ke puri tarah mutmain na thi
ek sar bacha tha wo bhi mohabbat mein rakh diya
ye sard aag mera badan chaTti rahe
main ne to ishq dil ki hararat mein rakh diya
rone ka ye hunar bhi na tere liye kiya
talwar ko bhi teri himayat mein rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.