kis ne un ka shabab dekha hai
kis ne un kā shabāb dekhā hai
jis ne dekhā hai ḳhvāb dekhā hai
āsmāñ par abhī to duniyā ne
ek hī āftāb dekhā hai
dekhne ko to husn ham ne bhī
ik se ik intiḳhāb dekhā hai
chand zī-qalb the jinheñ ham ne
sirf sad-iztirāb dekhā hai
sunñe vaale bhī jis ko sun na sakeñ
ham ne vo inqalāb dekhā hai
jab se badlī hai vo nigāh-e-karam
har nazar meñ itaab dekhā hai
ek duniyā ko ham ne apne ḳhilāf
bar-sar-e-ehtisāb dekhā hai
phir javāb-ul-javāb de na sakā
jis ne un kā javāb dekhā hai
is taraf un kā iltifāt to kyā
haañ magar ijtināb dekhā hai
ham ne dil-dādgān-e-ulfat kā
haal aksar ḳharāb dekhā hai
ham ne apnā to jazb-e-dil 'hairat'
shaaz hī kāmyāb dekhā hai
kis ne un ka shabab dekha hai
jis ne dekha hai KHwab dekha hai
aasman par abhi to duniya ne
ek hi aaftab dekha hai
dekhne ko to husn hum ne bhi
ek se ek intiKHab dekha hai
chand zi-qalb the jinhen hum ne
sirf sad-iztirab dekha hai
sunne wale bhi jis ko sun na saken
hum ne wo inqalab dekha hai
jab se badli hai wo nigah-e-karam
har nazar mein itab dekha hai
ek duniya ko hum ne apne KHilaf
bar-sar-e-ehtisab dekha hai
phir jawab-ul-jawab de na saka
jis ne un ka jawab dekha hai
is taraf un ka iltifat to kya
han magar ijtinab dekha hai
hum ne dil-dadgan-e-ulfat ka
haal aksar KHarab dekha hai
hum ne apna to jazb-e-dil 'hairat'
shaz hi kaamyab dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.