kis ne ye taswir banai baadal par
kis ne ye tasvīr banā.ī bādal par
jiyūñ koī chunarī lahrā.ī bādal par
jañgal jañgal bastī bastī ye ghūme
dekho thak kar silvaT aa.ī bādal par
yā to titlī bhūlī un par rañg apne
yā rañgoñ ne haaT lagā.ī bādal par
shab bhar chaltā luknā-chhupnā chanda kā
din meñ sūraj se ra.anā.ī bādal par
bādal meñ har maz.hab ke rab rahte haiñ
dekhī kyā maz.hab kī laḌā.ī bādal par
kis ne ye taswir banai baadal par
jiyun koi chunari lahrai baadal par
jangal jangal basti basti ye ghume
dekho thak kar silwaT aai baadal par
ya to titli bhuli un par rang apne
ya rangon ne haT lagai baadal par
shab bhar chalta lukna-chhupna chanda ka
din mein suraj se ranai baadal par
baadal mein har mazhab ke rab rahte hain
dekhi kya mazhab ki laDai baadal par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.