kis qadar ajnabi hai nazar ab teri
kis qadar ajnabī hai nazar ab tirī
dekh kar bhī jo shāyad nahīñ dekhtī
zulf ruḳh par tire jo machaltī rahī
kuchh ujāle añdhere rahī bāñTtī
kyā tire lams se aaj mahrūm hai
chal rahī hai sabā aaj bahkī huī
thī sarāpā qayāmat mire sāmne
yaad hai yaad hai vo ghaḌī
ek lambe safar kī thakan ko liye
muskurātī rahī rāt-bhar chāñdnī
kis qadar ajnabi hai nazar ab teri
dekh kar bhi jo shayad nahin dekhti
zulf ruKH par tere jo machalti rahi
kuchh ujale andhere rahi banTti
kya tere lams se aaj mahrum hai
chal rahi hai saba aaj bahki hui
thi sarapa qayamat mere samne
yaad hai yaad hai wo ghaDi
ek lambe safar ki thakan ko liye
muskuraati rahi raat-bhar chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.