kis qadar dhyan hai ai kakul-e-pechan tera
kis qadar dhyān hai ai kākul-e-pechāñ terā
apne saaye se ulajhtā hai pareshān terā
apnī hasrat pe lahū ro.e har ik zaḳhm-e-jigar
gir paḌā haath se qātil jo namakdāñ terā
kyā kahūñ hai mire sahrā kī jo vus.at ai qais
na mile us meñ jo kho jaa.e bayābāñ terā
hausla nikle mirī vahshat-e-dil kā kyūñkar
dā.era tang hai ai ālam-e-imkāñ terā
le gayā us kī galī tak na bahā kar lāsha
chashm-e-tar kaam kuchh aaya mire tūfāñ terā
āj-kal chaltī hai duniyā meñ qayāmat kī havā
gul na ho jaa.e charāġh ai mah-e-tābāñ terā
ḳhair ho bū-e-raqābat mujhe aa.ī tujh se
chaak kis ke liye ai gul hai garebāñ terā
kis taraf DhūñDhtā phirtā hai to ai tīr-afgan
dil meñ 'akbar' ne chhupā rakkhā hai paikāñ terā
kis qadar dhyan hai ai kakul-e-pechan tera
apne saye se ulajhta hai pareshan tera
apni hasrat pe lahu roe har ek zaKHm-e-jigar
gir paDa hath se qatil jo namakdan tera
kya kahun hai mere sahra ki jo wusat ai qais
na mile us mein jo kho jae bayaban tera
hausla nikle meri wahshat-e-dil ka kyunkar
daera tang hai ai aalam-e-imkan tera
le gaya us ki gali tak na baha kar lasha
chashm-e-tar kaam kuchh aaya mere tufan tera
aaj-kal chalti hai duniya mein qayamat ki hawa
gul na ho jae charagh ai mah-e-taban tera
KHair ho bu-e-raqabat mujhe aai tujh se
chaak kis ke liye ai gul hai gareban tera
kis taraf DhunDhta phirta hai to ai tir-afgan
dil mein 'akbar' ne chhupa rakkha hai paikan tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.