kis qadar dushwar tha ye masala hal kar diya
kis qadar dushvār thā ye mas.ala hal kar diyā
ek sargoshī meñ us ne mujh ko pāgal kar diyā
jaane ye tāsīr hāthoñ meñ kahāñ se aa ga.ī
itifāqan us ko chhū kar maiñ ne sandal kar diyā
jin kī jumbish par kabhī thā vaqt kā dār-o-madār
vaqt ne dhuñdlā unhīñ āñkhoñ kā kājal kar diyā
qā.ede qānūn saare rakh diye bālā-e-tāq
ham ne is duniyā ko insānoñ kā jañgal kar diyā
duur kar paayā na jab tārīkiyāñ koī 'sharar'
āḳhirash apne qalam ko maiñ nai mash.al kar diyā
kis qadar dushwar tha ye masala hal kar diya
ek sargoshi mein us ne mujh ko pagal kar diya
jaane ye tasir hathon mein kahan se aa gai
itifaqan us ko chhu kar main ne sandal kar diya
jin ki jumbish par kabhi tha waqt ka dar-o-madar
waqt ne dhundla unhin aankhon ka kajal kar diya
qaede qanun sare rakh diye baala-e-taq
hum ne is duniya ko insanon ka jangal kar diya
dur kar paya na jab tarikiyan koi 'sharar'
aaKHirash apne qalam ko main nai mashal kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.