kis qadar kam-asas hain kuchh log
kis qadar kam-asās haiñ kuchh log
sirf apnā qayās haiñ kuchh log
jin ko dīvār-o-dar bhī Dhak na sake
is qadar be-libās haiñ kuchh log
mutma.in haiñ bahut hī duniyā se
phir bhī kitne udaas haiñ kuchh log
vo bure hoñ bhale hoñ jaise hoñ
kuchh hoñ logoñ ko raas haiñ kuchh log
mausamoñ kā koī asar hī nahīñ
in pe jañgal kī ghaas haiñ kuchh log
tīrgī meñ nazar nahīñ aate
saa.e kī tarah paas haiñ kuchh log
kis qadar kam-asas hain kuchh log
sirf apna qayas hain kuchh log
jin ko diwar-o-dar bhi Dhak na sake
is qadar be-libas hain kuchh log
mutmain hain bahut hi duniya se
phir bhi kitne udas hain kuchh log
wo bure hon bhale hon jaise hon
kuchh hon logon ko ras hain kuchh log
mausamon ka koi asar hi nahin
in pe jangal ki ghas hain kuchh log
tirgi mein nazar nahin aate
sae ki tarah pas hain kuchh log
- Book : Goonj (Pg. 95)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.