kis qadar KHush-nasib hote hain
kis qadar ḳhush-nasīb hote haiñ
jo sharīf-o-najīb hote haiñ
kyā nahīñ hote qābil-e-izzat
dahr meñ jo ġharīb hote haiñ
be-ḳhirad dostoñ se to behtar
haañ raqīb-e-labīb hote haiñ
dar pe ab sā.iloñ kī dastak se
sad pareshāñ mujib hote haiñ
jaan lete haiñ jo marīzoñ kī
kyā vo qātil tabīb hote haiñ
kyoñ mohabbat kī raah meñ hī sadā
ġham hī paiham nasīb hote haiñ
log bas un ko takte rahte haiñ
zāhiran jo shabīb hote haiñ
sarfarāzī unhīñ ko miltī hai
vo jo ahl-e-shakīb hote haiñ
duur rah kar bhī zāhiran kuchh log
dil ke behad qarīb hote haiñ
gulsitān-e-adab meñ ai 'nūrī'
naġhma-ḳhvāñ bas adiib hote haiñ
kis qadar KHush-nasib hote hain
jo sharif-o-najib hote hain
kya nahin hote qabil-e-izzat
dahr mein jo gharib hote hain
be-KHirad doston se to behtar
han raqib-e-labib hote hain
dar pe ab sailon ki dastak se
sad pareshan mujib hote hain
jaan lete hain jo marizon ki
kya wo qatil tabib hote hain
kyon mohabbat ki rah mein hi sada
gham hi paiham nasib hote hain
log bas un ko takte rahte hain
zahiran jo shabib hote hain
sarfaraazi unhin ko milti hai
wo jo ahl-e-shakib hote hain
dur rah kar bhi zahiran kuchh log
dil ke behad qarib hote hain
gulsitan-e-adab mein ai 'nuri'
naghma-KHwan bas adib hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.